.

Thursday 7 January 2016

Heart Diseases

Heart Attack



(Identify Heart Attack Symptoms In Urdu)

Some time heart attack may slowly or some time it may sudden. Its common symptoms are a side chest pain, cold sweat, trouble in breath, and discomfort of upper body. It is a serious disease which may cause of death. Here we are describing the conditions, symptoms, treatments of heart attack which may useful for you and your love ones. In this page you will find and read Heart Attack Information in urdu Hindi and Roman urdu.
Coronary ragon ka marz jon jon barhta hai to ek ya dosri rag ya is ki shah tang ho kar bilkul band ho jati hai or jis hisa qalb tak khon nahi pohnchta wo bejan ho jata hai.
Sine ya dil me sakht dard hota hai or is ke lye mehnat shart nahi hai. or ye kisi bhi waqt ho sakta hai. halat aram balke sote waqt bhi hota hai dard amoman adha ghante se zyada rehta hai or nitro glesrine ki goliyan zaban ke niche chosne se dard rafa nahi hota hai.
Amoman dil ki bimari ka agaz jawano me achanak hamla qalb se hota hai. jab jawanul umar afrad me hamla qalb hota hai to us waqt tak khon ka mutabadil nizam qaim nahi hota hai or yakayak rag dil band hone ki waja se shadid heart attack hota hai. 

Note:

Amoman heart attack un afrad me aam hai jin ko us se qabal angina nahi hoti thi. “aap dil ka khayal rakhen, dil yaqinan aap ka khayal rakhe ga”.

Heart Attack Ke Doran Kya Hota Hai?

Dil ki 2 taji sharyane dil ke pathe ko khon faraham karti hain. Chunke baen taji sharyan foran 2 shakho me bat jati hai is lye in ki tadad 3 samjhi jati hai taji sharyanon ki shakhen or phir un ki mazid shakhen dil ke tamam path eke lye khon ki farahimi ka kaam karti hain in sharyanon ka net work na sirf dil ki bahiri satah pr hota hai balke dil ki puri motai me andar tak bicha hota hai.
Heart attack ke doran dil ka wo hisa mutasir hota hai jahan sharyan me rukawat paida ho chuki hoti hai.
Dil ki band hone wali sharyan agar choti hai to is ke zarye serab hone wala mukhtasar hisa hi mutasir ho ga chunancha murda pathon ka raqba boht kam ho ga. Agar sharyan me rukawat bunyadi ya shuru ki aesi jaga hai jis ke agay pathe ka zyada tar hisa serab hota hai to wo tamam hisa khatre me ho ga. Or us ke murda ho jane ki sorat me heart attack jan lewa sabit ho sakta hai agar aesa na ho to bhi tawil arse ke lye manfi asarat muratab hon ge. Dil ke pathe (kam ya zyada) jab ek dafa murda ho jaen to phir bahal nahi ho sakte. Chunancha wo dil ko pump karne kea mal me madad nahi dete. Ek or aham sabab jo heart attack ki shidat ka tain karta hai wo us makhsos taji (coronary artery) sharyan ka band hona hai jo baen ventricle ko supply deti hai. is ventricle ko feul muhaya karne wali sharyanen apne kaam me mukhtalif noiyat rakhti hain. Q k dil ke pumping system sab se aham kirdar baen ventricle hi sar anjam deta hai.
Dil ke dore me dil ka dard angina 1 tarha he lekin is se zyada shadid hota hai opr zyada dair rehta hai.
Ye amoman nitro glesrine se khatam nahi hota. Hamen is haqiqat ka bakhubi ilm hona chahye k umar barhne ke sath jis tarha aza jisim, azlat aesab jild wagera ki lachak am hoti hai usi tarha khon ki naliyon ki lachak bhi kamzor parti hai.khon me mojud chiknai khas tor pr cholesterolse khon ki naloyon me andar ki simt ek te ki tarha ke khalye paida ho jate hain. Is ke elawa calcium bhi khon ki naliyon ki androni satah pr jamta or jama hota rehta hai. is tarha khon ke bahao ka rasta tang hota rehta hai or sharyano ki sakhti barhti jati hai.
Hamare khon me khalya bastagi (platelets) name chote or gol nehayat aham or mufid bezwi ajsam pae jate hain jo khon ki naliyon ki tor phor ki maramat karte hain. Ye ajsam jab aesi naliyon pr chipakti hain jin pr calcium ya kharnd jama ho to ek rade amal paida hota hai or khon ka clot ban jata hai.

Heart Attack Ki Mukhtalif Halaten.

Zindagi me pehli bar agar is tarha ki taklif ho or ye raya hi malom ho jab bhi tibi mashwara karna chahye mumkin ho sake to mahir amraze qalb se ruju Karen. Seene me dard ki zyada tar wajuhat wo hain jin ka dil se koi taluq nahi.
  • Baz martaba mariz ko heart attack me ikhtalaj or dharkan mehsos hoti hai baz oqat bimari qalb ke elawa muztab or becheni nojawanon ko bagair kisi arza qalb ke bhi dil ki dharkan hoti hai.
Baz oqat dard is qadar khafif hota hai k bimar ye samjhte hain k sine me dhikar phans gai khasusan zaif afrad or sugar ke marizon me jab heart attack hota hai to dard shadid nahi hota balke baz martaba to dard bilkul hi nahi hota sirf ek nakhushgawar sa ahsas ghabrahat or becheni hoti hai. kamzori malom hoti hai goya mariz niqahat se nidhal ho sakta hai aese marizon ke lye dil I pati (E.C.G) zaror kawana chahye.  
Heart Attack Ki Pehchan Or Alaamat
  • Shadid kuchalne wala or dam ghutne wala chati ka dard heart attack ki ek bari alamat hai ibtada me ye chati ke darmiyan mehss hota hai. lekin ye ek bar dono bazon garden or jabron tak phel sakta hai. is ke sath sath pasine ana, matli hota, qe ana, or sardi lagna jesi alamat bhi pai jati hain. Sans na ane ki kefiyat bhi mehsos hoti hai.
  • Heart attack ki ek or kefiyat “mot qarib ane ka ahsas” hota hai. heart attack me ghehre sans lene me ya position badalne me dard me kami nahi ati na hi is me letne se farq parta hai.
  • Baz martaba heart attack mutla kye bagair uzar jata hai. heart attack hota to hai lekin pata nahi chalta. Log apni mamoli zindagi me masrof rehte hain. Jab bad me kisi waja se E.C.G ho to is ka ilm hot hai. ise khamosh heart attack kehte hain.
  •                       
  • Dard ke lelawa heart attack ka izhar yakayak sans pholne se bhi ho sakta hai ye sans ki taklif saht gair mamoli mehnat maslan bojh sarkane gari ko Dhaka lagane ya 4, 5 manzilen charhne (jiski adat nai ho) ya kabhi kabhi sote sote khansi or sans ki waja se bimar ki ankh khul jati hai. ye sorat qalbi dama (cardiac asthma) ki hai. jis me dil ki kar kardagi or fal me achanak numayan kami ho jati hai to dil phephron se khon ko tezi se wasol nahi kar sakta k dil me gunjaish nahi hai. khon jab phephron me jama hota hai to un ki wasat or gunjaish kam ho jati hai. mariz ka dam charhta hai ye qalbi dama hai.
  • Gashi ka chakrana heart attack ka aam tariqa izhar nahi lekin ek ache bhal;e admi ko is tarha ki alamat ho to qalb or blood pressure ke mutaliq kisi mualij ya doctor se itminan karna zarori hai.  
Heart Attack Ke Mariz Ke Mutaliqin Ko Kya Karna Chahye
  • Jab bhi apne ya apne dost, rishta dar, hamsaya, shanash ke mutaliq ye shuba or tashwish ho jae k sina me jo dard hau wo dil ki waja se hai to bimar ko foran sir ke niche takya rakh kar neem daraz ho jana chahye or is tarha istarahat kare jis tarha aram mile to phir jald az jald kisi mahir doctor se mashwara kar ke shuba ko dor kar lya jae.
  • Ye bat ikhtalafi ban sakti hai k mashwara kab kya jae doctor ke pas jana chahye ya us ko bula kar dikhana chahye. Ya bimar ko shafa khana le jana chahye ye har bimari me us ki kefiyat or halat pr muhasir hai. aam rehnuma ke lye is qadar keh dena kafi hai k agar ard qalil waqt ke lye hua tha or phir nahi hua or na us ke bad kamzori hui or na pasina aya to tibi mashwara me takher ki ja sakti hai apni or doctor ki saholat ke lehaz se mashwara ka waqt muqarar kya ja sakta hai lekin jab tak doctor dekh nahi le ghar me aram karna chahye or koi gair mamoli mehnat nahi karna chahye agar dard adha ghante se zyada raha to phir mashwara me taher nahi karna chahye. Or jis qadar bhi jald ho sake dikha dena chahye.
  • Agar sina ke dard me mubtala ek mutawastul umar shakhs ko nitro glesrine ki 3 4 goliyan chosne se aram nahi ata or dard shadid hai to mariz ko shifa khana le jana chahye is me dair nahi karna chahye. Chahe koi waqt ho is galat feham me nahi rehna chahye k ye bad hazmi hai or choran or shikanjibin se thek ho jae gi. Arza qalb me agar jald tibi imdad muyasar ajae to bahali ke imkanat roshan ho jate hain marizon o sahih tibi imdad me dair is lye hoti hai k wo gair tibi mashwara pr amal karte hain.
  • ye bat yad rakhna chahye k shuru ki saaten (chand mint) is silsila me aham or fesla kun hoti hain k hamla qalb ka mahsil kya ho ga. Ye bhi ek afsos nak haqiqat hai k in suru ki aham saaton me tibi imdad milna mushkil hai.jis waqt mustand imdad ki koshishen ki ja rahi hon us waqt khof or dehshat ki fiza tari nahi karna chahye is sorat hal se nimatne ke lye tibi waqfiyat, aqal or tamiz, salahiyat or hamdardi zarori hai. har chand k bimar khud doctor se mashwara karne me mutazabzab ho. Ye bat dilchasp hai k zyada tar hamla qalb ke mariz doctor se mashwara karne me takher karte hain is moqa pr aksar oqat marizon ka rawaiy na qabile feham or khud farebi ka hota hai. wo ye bat mane ke lye amada nahi hote k un ko dil ka marz hai or isi waja se apni alamat or shikayat ka bhi puri tarha izhar nahi karte. Is pas manzar me tibi imdad ke hasol ka fesla bimar pr nahi chorna chahye balke ye zimedari hona chahye sharike hayat, aziz o aqarib or dost ahbab ki.

Hidayat

  1. angina ka dard hamesha 15, 20 mint se zyada nahi rehta lekin heart attack me ye dar dair tak rehta hai lekin bunyadi tor pr dono ki shidat ek jesi hoti hai or wo is lye k dono ka bunyadi sabab ek hi hota hai. angina me ye sabab jald dor ho jata hai yahi waja hai k boht se mariz heart attack ko angina samjh kar takher kar dete hain or zarori tibi imdad nahi lete ek sarvey ked ran malom hota hai k heart attack ke zyada tar mariz 3, 4 ghante tak intezar ke bad doctor ko bulate ya us tak pohnchte hain. Un ka khayal hota hai k ye taklif thore dair me thek ho jae gi. Agar unhen pehle angina ho to wo is ki dawa lete rehte hain lekin tab tak boht dair ho chuki hoti hai.
  2. jab kabhi ye shuba ho k ye kefiyat heart attack ya is se milti julti hai to foran doctor ya hospital se ruju kijye. Kabhi is intezar me na rahen k sorate hal khud bakhud thek ho jae gi.
Chahe us mariz ko dard mehsos na hua ho tahum boht se log jin ko heart attack ho chukka hai batate hain k is hadsa se pehle qatan koi intabahi alamt zahir nahi hui thi. Sirf 25% log aese the jinhen heart attack se pehle angina ya blood pressure ki shikayat thi.
  1. Agar kisi ko angina ho to us ke dard me izafa heart attack ki taraf pesh qadmi hota hai dard rafa na ho or pasina bhi aae to behtar yahi hai k waqt bilkul zayah nahi kya jae or bimar ko shifa khana muntaqil kar dya jae.
  2. Safar embulance me kya jae to zyada behtar hai lekin dard shadid hai to ujlat I jae or jis tarha bhi ho bimar ko shifa khana pohncha dya jae. Rawangi se qabal wafa dard tika lag sake to behtar hai is doran nitro glesrine ki goliyan choste rehna chahye yani dard ki halat me bhi or sans pholne ki halat me bhi.
  3. Bimar ke mutaliqin is asna me bimar ke sath mojud rahe lekin baten bilkul nahi kare or un ki bimari ke mutaliq tabadla khayal to kisis sorat me nahi Karen.
  4. Bimar ko rasta me zor lagane na den or jis qadar bhi ho sake us ko utarne charhne me madad di jae shifa khana pohnchne pr bimar ki kefiyat ke lehaz se ya to pahiyon wai kursi pr andar le jae ya doli me dal kar agar sans phol raha hai to bimar o betha kar lana chahye shifa khana me tashkiz ke bad balehaza alamat elaj kya jata hai. dard rafa karne ke lye rafa dard injection dya jata hai or dosri adoya injection ya goliyon ki shakal me di jati hain. Ek dafa bimar shifa khana me ajae or bister pr let jae to nisf marhala te ho gya.
  5. Hamla qalb ki tashkhiz me sab se aham bat jo mualij ki maqonat karti hai wo bimar ki apni sar gazsht or ahwal hai is ka bhi inhasar is bat pr hai k jab bimar apna hal bayan kare to kisi ko bhi dakhal dar maqolat nahi karna chahye. Bimar ko chahye k apni dastan bila kam or kast sunae k dard sina me kis jaga hua kahan tak phela dard tez hai ya dhima reh reh kar uthta hai ya thehara hua hai jo kuch guzri or guzar rahi ai wo bata di jae lekin apni tashkhiz aap nahi ki jae.

Ye bat wazahat se malom hona chahye k shuru saaton me dil ki pati (E.C.G) or khon ki dosri janch bilkul durst ya normal ho sakti hai. is lye tashkhiz marz ka asal daro madar mariz ke apne ahwal pr hai or bimar ki shahadat sab se aham or fesla kun hai. ek aam hamla qalb me jismani muaina bashamol nabz or blood pressure durst ho sakta hai. is lye nabz or blood pressure pr bharosa karna k ye dono thek hain to har chez thek hai bilkul galat bat hai agar muaina durst ho to ye nahi samjh lena chahye k dil thek hai sirf ye k halat thek hai.



  • Here is a link below

Share This

No comments:

Post a Comment

Distributed By Blogger Template | Designed By Blogger Templates